Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi

Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi

Nazron mayn mustafa ki gali thi abhi abhi

Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay

Teba say dil ddoar hili thi abhi abhi

Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay

Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi

Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil

Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi

Shabbiir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay

Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi

Leave a Comment