Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main

Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main

 

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey

Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main


Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah

Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main

 

Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey

Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main

 

Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar

Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main


Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara

Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

 

Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara

Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

1 Comment »

  1. AMIINA said

    luvvv it

RSS feed for comments on this post · TrackBack URI

Leave a Comment