Kab gunahoon se kinara karoonga Ya Rabb

Kab gunahoon se kinara karoonga Ya Rabb[image] (4)
Naik kab ay meray Allah [image] banoonga Ya Rabb [image] (2)

Kab gunahoon kay mar’az se shifa paonga
Moula.. kab gunahoon kay mar’az se shifa paonga
kab mein bemaar Madine ka banoonga Ya Rabb [image] (2)

Qabr mein gar na Muhammad [image] kay nazarey hongey
Moula.. Qabr mein na Muhammad [image] kay nazare hongey
Hashar tak kaisey mein phir tanha rahoonga Ya Rabb[image] (2)

Gar teray pyare ka Roza na rahey pesh’ay nazar
Moula.. gar teray pyare ka Roza na rahey pesh’ay nazar
sakhtiyan nazz’ha ke qun kar sahoonga Ya Rabb[image] (2)

Nazz’ha kay waqt mujhey jalwa-e-Mehboob [image] dekhna
Moula.. Nazz’ha kay waqt mujhey jalwa-e-Mehboob [image] dekhna
yeh karam karde toh mein shaad marunga Ya Rabb[image] (2)

Affawu kar aur sada kay leye razi hoga
Moula.. Affawu kar aur sada kay leye razi hoga
yeh karam karde toh mein shaad marunga Ya Rabb[image] (2)

Dard-e-sar ya bukhaar aye toh tarap jata hun
Moala.. dard-e-sar ya bukhaar aye toh tarap jata hun
mein Jahannum ki saza kaisey sahoonga Ya Rabb[image] (2)

Izn se teray sar-e-hashar kahen kash Huzoor[image]
Moula.. Izn se teray sar-e-hashar kahen kash Huzoor [image]
Saat Attar kay Jannat mein rakoonga Ya Rabb [image] (2)

Kab gunahoon se kinara karoonga Ya Rabb [image] (4)
Naik kab ay meray Allah [image] banoonga Ya Rabb [image] (2)

Leave a Comment